The first time I'm publishing Hindi poetry with this much abandon.
Ek raat aisi bhi ho
Jab ho bas khud se baat
Ek raat aisi bhi ho
Jab na mile chaand taaron ka saath
Ho raat aisi bhi
Jab na maange hum kisi ka haath
Ho raat aisi bhi
Jab ho na tanhaiyon se mulakaat
Na khwahishen ho dil mein
Na rukawat manzil mein
Kaash na kehna ko bas mein
Mithas na rahe ras mein
Na soch tumhari
Na Sahara tumhara
Na khoj kinare ki
Na mile raasta tumhara
Raat aisi ho agar
Khush rahenge, magar
Yeh raat beetegi kaise?
Raat beete bhi toh kaise?