Takti rahi andher nagri mein
Woh chaand nazar na aaya
Jo pichhli raat, armaano ko,
Meri galli la kar muskaya.
Keh raha, intezaar mein raho mere
Ummeedo ka savera hoon,
Par jab tak suraj nahin jagta,
Bekaar, raho mere.
Keh raha, mere deedar ko tarasti iss bhookh ko
Mehfuz rakhna seekho.
Apne deedo ko ikraar se bhigati pyaas ko
aankhon mein bharna seekho.
Kasme vaade, saare saje
Iss thaal mein tumhari,
Sindoor se bhari maang mein
Taare saje tumhari.
Pichhli raat ko chaand aaya
Meri galli, muskaya,
Aaj uss mein bhi ek naya noor hai
Aaj mujh mein ek halka ghuroor hai.
Jo chaand ko apna maan kar
Chal diye maine apne kadam
Aaj, poora chand na hoga
Par uss mein, uss se, poore honge hum.