Ghar kar gayi dil mein Dilli
Jaise raat mein lipti kaali billi
Kabhi mohabbat, kabhi hai khilli.
Ghar kar gayi dil mein Dilli.
Jab dhalti hai yahaan shaam sunehri
Ya uthe suraj sunehra
Jab baarish deti hai pehri
Aur dhund ka chhaa jaata hai ghera
Tab yaad aati hain galiyaan
Iss shehar ki, rangeeli
Mann mein baha ke khushiyon ki nadiyaan
Ghar kar gayi dil mein Dilli.
Sochti hoon chhod jaoon
Iss sab ko meelo peechhe
Aasmaan mein main ud jaoon
Chhute jag saara neeche
Tab kheench laati hai waapas yeh yaadein
Pyaar takraar aur zindagi mein mili
Nahin ab kisi aur jagah se naate
Kyunki
Ghar kar gayi dil mein Dilli.
No comments:
Post a Comment