Aaannndd I'm writing again! But I've taken a turn to speed down the road of Hindustani poetry. Pardon the misuses of language if any are spotted [insert quip about poetic licence here].
Tumhare
naino ke jharokhe se
Mujhe apna jahaan dikhta hai,
Haqeetaton se kahin
door
Ek aalishaan makaan dikhta hai.
Badalon ko cheerta woh chaand
bhi
Mujhe adhoora sa lagta hai
Jaise lahu luhaan kitabo mein
Ek panna kora
sa jab milta hai?
Uss mein ab hum rang bharenge
Khwaabo ke pardo se ab
yeh manzar sajenge.
Tumhari baaton ki lehro par
Ek chehekti naav sa mann
lagta hai.
Aaj main apni si hoon nahin
Par ek kal mera aashiyaan lagta
hai.
Sapno ki duniya mein basa
Ghair bhi ab apna lagta hai.
Koshishein
laakh ki thi ab tak
Manzilein kachchi si lagti thi
Par tumhare labho se
tapki adrak bhi
Kyun mujhe mishri si lagti hain?
Keh doge tum paagal
humein
Ki pal bhar mein humne sansaar rach liya hai
Pal bhar mein hi
sahi
Tumne khayaalo ka manzar sach kar diya hai.
No comments:
Post a Comment