Bune
the kayi khwaab jo
Lehero
ki gasht mein jhool gaye.
Jalaayi
mashaalein armaano ki,
Waqt
ki dhund mein jo bujh gayi.
Baandhe
ummedo ke pul kabhi,
Kismato
ke bojh se jo toot gaye.
Beej
boye the rishton ke jahaan,
Woh
manzar bhi humse rooth gaye.
Kuch kahaaniyaan suni thi,
Ansuni
si jo ab ho chali,
Shuruwaato
ke kadam bhi
Haalaato
ke aage jhuk gaye.
Socha,
haalaat sawaar lenge inn bachkaane haatho se.
Haath
toh baalo ke atkano mein hi ruk gaye.
No comments:
Post a Comment